Royalty Free Images

Monday, August 14, 2006

Chaandni Raatien !!!

Poonam ki raat ka poora chaand dekhoon,
To tumhara haseen chehra nazar aata hai,
Har crater main tumhara dimple nazar aata hai !
Phir telescope se jab dekhta hoon dhyaan se,
To crater ke saath mountain bhi nazar aata hai
Aur har mountain main tumhara pimple nazar aata hai !!!


Aadhi raat ka aadha chaand dekhoon,
To tumhari muskaan ki yaad satati hai,
Chandni tumhare chamakte daaton ki yaad dilati hai !
Phir telescope se jab dekhta hoon dhyaan se,
To chand pe lage daag par nazar jaati hai,
Aur is daag se tumhare daaton ki cavities ki yaad aati hai !!!


Amavas ki andheri raat jab aati hai,
Us raat bhi kahan chain se so pata hoon,
Lagta hai tumhari zulfon ke saaye main kho jaata hoon !
Phir telescope se jab dekhta hoon dhyaan se,
To gardish main sitaare chamakte hain is tarah,
Tumhari zulfon main jhoonen bhatakti hain jis tarah !!!


Isliye kal raat maine ye faisla kiya bade dhyaan se
Ab to chhodna padega isse, imaan se,
Lauta doonga laya tha jis dukaan se;
Vo telescope jo door ki cheez to paas dikhaye
Par door kar de apni hi jaan se !!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~



These pics and video were captured by me in Mumbai from my JVC handycam (16X Optical, 700X digital zoom). Note that they are copy righted and hence you have full right to copy them!
P.S. You can click on the pics to view them full size.
The poem is a work of fiction and any resemblance to any living and/or loving moon-faced human is purely coincidental.